saneha nahin Talta sanehe pe rone se
sāneha nahīñ Taltā sānehe pe rone se
habs-e-jāñ na kam hogā be-libās hone se
ab to merā dushman bhī merī tarah rotā hai
kuchh gile to kam hoñge saath saath rone se
matn-e-zīst to saarā be-numūd lagtā hai
dard-e-be-nihāyat kā hāshiya na hone se
sachche sher kā khaliyān aur bhartā jaatā hai
dard kī zamīnoñ meñ ġham kī fasl bone se
hādsāt-e-paiham kā ye ma.aal hai shāyad
kuchh sukūn miltā hai ab sukūn khone se
saneha nahin Talta sanehe pe rone se
habs-e-jaan na kam hoga be-libas hone se
ab to mera dushman bhi meri tarah rota hai
kuchh gile to kam honge sath sath rone se
matn-e-zist to sara be-numud lagta hai
dard-e-be-nihayat ka hashiya na hone se
sachche sher ka khaliyan aur bharta jata hai
dard ki zaminon mein gham ki fasl bone se
hadsat-e-paiham ka ye maal hai shayad
kuchh sukun milta hai ab sukun khone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.