saneha ye bhi ek hua mere sath
sāneha ye bhī ik huā mire saath
duur ho ke bhī vo rahā mire saath
kashtī-e-zīst ko bachāte hue
mar ga.e kitne nāḳhudā mire saath
tū to mere qabīle vaalā thā
tū ne hī khel kar diyā mire saath
umr-bhar ke the jis ne va.ade kiye
do qadam bhī na chal sakā mire saath
gāhe-gāhe talāsh kartā rahā
mujh meñ khoyā rahā ḳhudā mire saath
saneha ye bhi ek hua mere sath
dur ho ke bhi wo raha mere sath
kashti-e-zist ko bachate hue
mar gae kitne naKHuda mere sath
tu to mere qabile wala tha
tu ne hi khel kar diya mere sath
umr-bhar ke the jis ne wade kiye
do qadam bhi na chal saka mere sath
gahe-gahe talash karta raha
mujh mein khoya raha KHuda mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.