sanjh-sawere phirte hain hum jaane kis virane mein
sāñjh-savere phirte haiñ ham jaane kis vīrāne meñ
sāvan jaisī dhuup likhī hai qismat ke har ḳhāne meñ
us ne pyaar ke saare bandhan ik lamhe meñ toḌ diye
jis kī ḳhātir rusvā haiñ ham is be-dard zamāne meñ
shab kī siyāhī aur baḌhegī aur sitāre TūTeñge
kuchh to vaqt lagegā āḳhir nayā saverā aane meñ
kitne pīpal suukh ga.e haiñ kitne dariyā ḳhushk hue
kitne mausam biit ga.e haiñ bādal ko bahlāne meñ
sīdhe-sāde panchhī kī mānind vo shāyad lauT aa.e
aas lagā.e baiThe haiñ ham apne hairat-ḳhāne meñ
paḌhnā likhnā chhūT gayā hai sājan jab se ruuTh gayā
kaḌvī kaḌvī se lagtī hai ab to har shai khāne meñ
sanjh-sawere phirte hain hum jaane kis virane mein
sawan jaisi dhup likhi hai qismat ke har KHane mein
us ne pyar ke sare bandhan ek lamhe mein toD diye
jis ki KHatir ruswa hain hum is be-dard zamane mein
shab ki siyahi aur baDhegi aur sitare TuTenge
kuchh to waqt lagega aaKHir naya sawera aane mein
kitne pipal sukh gae hain kitne dariya KHushk hue
kitne mausam bit gae hain baadal ko bahlane mein
sidhe-sade panchhi ki manind wo shayad lauT aae
aas lagae baiThe hain hum apne hairat-KHane mein
paDhna likhna chhuT gaya hai sajan jab se ruTh gaya
kaDwi kaDwi se lagti hai ab to har shai khane mein
- Book : Khawab Suhane yaad aate hain (Pg. 18)
- Author : Hasan Rizvi
- Publication : Khazina ilm-o-adab al-karim market urdu bazar, Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.