sanp bhi bin bhi madari bhi
saañp bhī biin bhī madārī bhī
haa.e kyā baat hai tumhārī bhī
kaise karte ho yaar mic par
shā'irī bhī dukān-dārī bhī
ham valī to nahīñ ḳhudā se magar
jān-pahchān hai hamārī bhī
sirf dil kā mu'āmla hī nahīñ
'ishq hai ek zimme-dārī bhī
haar kar phuul terī ḳhushbū se
DhūñD lete haiñ rishtedārī bhī
vo jo pichhlī qatār meñ ḳhush thā
aa ga.ī aaj us kī baarī bhī
ham kabhī ek saath karte the
ḳhāksārī bhī shah-savārī bhī
aap ḳhāmoshiyāñ bhī sunte haiñ
aah sun lījiye hamārī bhī
sanp bhi bin bhi madari bhi
hae kya baat hai tumhaari bhi
kaise karte ho yar mic par
sha'iri bhi dukan-dari bhi
hum wali to nahin KHuda se magar
jaan-pahchan hai hamari bhi
sirf dil ka mu'amla hi nahin
'ishq hai ek zimme-dari bhi
haar kar phul teri KHushbu se
DhunD lete hain rishtedari bhi
wo jo pichhli qatar mein KHush tha
aa gai aaj us ki bari bhi
hum kabhi ek sath karte the
KHaksari bhi shah-sawari bhi
aap KHamoshiyan bhi sunte hain
aah sun lijiye hamari bhi
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 63)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.