sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin
sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin
Masoodurrahman Masood
MORE BYMasoodurrahman Masood
saañp jaise ki kabhī aañkh jhapaktā hī nahīñ
yuuñ koī dard hai siine meñ jo sotā hī nahīñ
us se jhagḌūñ bhī to kis baat pe jhagḌūñ āḳhir
jab mire saath vo hote hue hotā hī nahīñ
hijr har shaam bujhī aañkh liye aatā hai
vasl kā chāñd kisī chhat pe nikaltā hī nahīñ
rābtoñ kī hai vo fihrist meñ ḳhāmosh kahīñ
ek number ki jo scrēn pe aatā hī nahīñ
turbat-e-zabt meñ yādoñ kī sileñ dil pe liye
tere chehre ko nigāhoñ se haTātā hī nahīñ
mere a.asāb pe taarī hai mohabbat kī thakan
itnī zyāda ki kisī haal meñ rotā hī nahīñ
chāñd 'mas.ūd' ḳhalāoñ meñ hai TūTā-phūTā
is liye maiñ to kabhī iid manātā hī nahīñ
sanp jaise ki kabhi aankh jhapakta hi nahin
yun koi dard hai sine mein jo sota hi nahin
us se jhagDun bhi to kis baat pe jhagDun aaKHir
jab mere sath wo hote hue hota hi nahin
hijr har sham bujhi aankh liye aata hai
wasl ka chand kisi chhat pe nikalta hi nahin
rabton ki hai wo fihrist mein KHamosh kahin
ek number ki jo screen pe aata hi nahin
turbat-e-zabt mein yaadon ki silen dil pe liye
tere chehre ko nigahon se haTata hi nahin
mere aasab pe tari hai mohabbat ki thakan
itni zyaada ki kisi haal mein rota hi nahin
chand 'masud' KHalaon mein hai TuTa-phuTa
is liye main to kabhi id manata hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.