sans aati rahi sans jati rahi
saañs aatī rahī saañs jaatī rahī
is tarah zindagī gungunātī rahī
naam ulfat meñ jo kar ga.e haiñ baḌā
un ke qisse muravvat sunātī rahī
qais lailā ke jalvoñ pe martā gayā
tohmateñ sab mohabbat uThātī rahī
lo suno kyā huā kyoñ ye simTā jahāñ
ham-safar ko hī duniyā banātī rahī
zindagī kī talab ho ga.ī phir ḳhafā
bekalī jab se mātam manātī rahī
'sārthī' TuuT kar bikhrī lafzoñ meñ to
shā.erī us ke ġham dohrātī rahī
sans aati rahi sans jati rahi
is tarah zindagi gungunati rahi
nam ulfat mein jo kar gae hain baDa
un ke qisse murawwat sunati rahi
qais laila ke jalwon pe marta gaya
tohmaten sab mohabbat uThati rahi
lo suno kya hua kyon ye simTa jahan
ham-safar ko hi duniya banati rahi
zindagi ki talab ho gai phir KHafa
bekali jab se matam manati rahi
'sarthi' TuT kar bikhri lafzon mein to
shaeri us ke gham dohraati rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.