sans-dar-sans mujhe mushk-e-KHutan karta hai
sāñs-dar-sāñs mujhe mushk-e-ḳhutan kartā hai
nāfā-e-lams ki tahrīr-e-badan kartā hai
varna ham sust-tab’ dasht-navardī karte
ye karishma tirā be-sāḳhta-pan kartā hai
haañ vahī bhartā hai siine meñ dhuāñ aahoñ kā
merī miTTī ko jo ḳhushbū-e-saman kartā hai
kaf uḌātī hai ik an-dekhe jazīre kī talab
ik bhañvar paañv meñ rahne ke jatan kartā hai
rang-o-nik.hat ke na.e raaz khulā karte haiñ
jab kabhī jān-e-suḳhan mujh se suḳhan kartā hai
sans-dar-sans mujhe mushk-e-KHutan karta hai
nafa-e-lams ki tahrir-e-badan karta hai
warna hum sust-tab’ dasht-nawardi karte
ye karishma tera be-saKHta-pan karta hai
han wahi bharta hai sine mein dhuan aahon ka
meri miTTi ko jo KHushbu-e-saman karta hai
kaf uDati hai ek an-dekhe jazire ki talab
ek bhanwar panw mein rahne ke jatan karta hai
rang-o-nikhat ke nae raaz khula karte hain
jab kabhi jaan-e-suKHan mujh se suKHan karta hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 50)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.