sans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
saañs kā bojh nahīñ aur lage bhārī bhī
apnā dushman bhī maiñ ḳhud mujh se mirī yaarī bhī
kaam karne kī bhī taufīq nahīñ hotī mujhe
mujh se dekhī nahīñ jaatī mirī bekārī bhī
sāmne hai vo magar chhū nahīñ saktā maiñ use
hai suhūlat bhī mayassar mujhe dushvārī bhī
ye ravayya bhī mire saath 'ajab hai merā
kahīñ jaanā bhī nahīñ aur hai tayyārī bhī
jaane vaale ko sadā detā nahīñ dekhtā huuñ
be-vaqūfī bhī maiñ kartā huuñ samajhdārī bhī
vaqt kā zang badal degā tire lahje ko
kund ho jā.egī talvār ye do-dhārī bhī
sans ka bojh nahin aur lage bhaari bhi
apna dushman bhi main KHud mujh se meri yari bhi
kaam karne ki bhi taufiq nahin hoti mujhe
mujh se dekhi nahin jati meri bekari bhi
samne hai wo magar chhu nahin sakta main use
hai suhulat bhi mayassar mujhe dushwari bhi
ye rawayya bhi mere sath 'ajab hai mera
kahin jaana bhi nahin aur hai tayyari bhi
jaane wale ko sada deta nahin dekhta hun
be-waqufi bhi main karta hun samajhdari bhi
waqt ka zang badal dega tere lahje ko
kund ho jaegi talwar ye do-dhaari bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.