sans ki aanch mein har lamha jhulaste hue log
sans ki aanch mein har lamha jhulaste hue log
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
saañs kī aañch meñ har lamha jhulaste hue log
ḳhvāb ke naam pe jiine ko nikalte hue log
agle vaqtoñ meñ jo jiine kā sabab hote the
ho ga.e ḳhvāb vo sīnoñ meñ dhaḌakte hue log
e'tibār itnā bhī is ahd ke logoñ pe na kar
ye haiñ mausam kī tarah roz badalte hue log
ḳhūbsūrat to hai duniyā magar aafat ye hai
ḳhaak ho jā.eñge ye hañste chahakte hue log
mājrā-ḳhez kal ik ḳhvāb thā dekhā ham ne
biich dariyā meñ the kashtī se utarte hue log
zindagī naam hai shāyad ki isī kā 'anjum'
har qadam girte hue aur sañbhalte hue log
sans ki aanch mein har lamha jhulaste hue log
KHwab ke nam pe jine ko nikalte hue log
agle waqton mein jo jine ka sabab hote the
ho gae KHwab wo sinon mein dhaDakte hue log
e'tibar itna bhi is ahd ke logon pe na kar
ye hain mausam ki tarah roz badalte hue log
KHubsurat to hai duniya magar aafat ye hai
KHak ho jaenge ye hanste chahakte hue log
majra-KHez kal ek KHwab tha dekha hum ne
bich dariya mein the kashti se utarte hue log
zindagi nam hai shayad ki isi ka 'anjum'
har qadam girte hue aur sanbhalte hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.