sans lena bhi bar hota hai
saañs lenā bhī baar hotā hai
jab tirā intizār hotā hai
aatā hai jab bahār kā mausam
jab junūñ ustuvār hotā hai
zikr kyā dāman-o-garebāñ kā
pairahan taar taar hotā hai
aap rone se man.a karte haiñ
rone par iḳhtiyār hotā hai
hai haqīqat yahī ki har chehra
dil kā ā.īna-dār hotā hai
ai mire dil sukūñ sukūñ hai magar
intishār intishār hotā hai
raas aatī nahīñ ḳhushī us ko
jis ko ġham nāgavār hotā hai
sun ke 'ājiz' vo sar-guzasht mirī
jaane kyuuñ ashk-bār hotā hai
sans lena bhi bar hota hai
jab tera intizar hota hai
aata hai jab bahaar ka mausam
jab junun ustuwar hota hai
zikr kya daman-o-gareban ka
pairahan tar tar hota hai
aap rone se mana karte hain
rone par iKHtiyar hota hai
hai haqiqat yahi ki har chehra
dil ka aaina-dar hota hai
ai mere dil sukun sukun hai magar
intishaar intishaar hota hai
ras aati nahin KHushi us ko
jis ko gham nagawar hota hai
sun ke 'ajiz' wo sar-guzasht meri
jaane kyun ashk-bar hota hai
- Book : Mahbis-e-Gham (Pg. 33)
- Author : Aajiz Matavi
- Publication : Aajiz Matavi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.