sans tak aata nahin ye haal hai
saañs tak aatā nahīñ ye haal hai
ishq kyā hai jaan kā janjāl hai
fitna-e-mahshar tumhārī chaal hai
har qadam par dil mirā pāmāl hai
hijr meñ kis tarah aa.egā qarār
jab tumhāre sāmne ye haal hai
vo hamāre paas kyoñ aane lage
nāma-bar kī is meñ koī chaal hai
ishq kī jo kuchh sazā ho dījiye
ham ko apne jurm kā iqbāl hai
jis meñ phañs kar koī chhūTā hī nahīñ
vo tumhāre gesuoñ kā jaal hai
tū bhī zāhid un ko dekhe to kahe
kyā javānī kyā adā kyā chaal hai
marsiya hai ye dil-e-marhūm kā
yā hamārā nāma-e-a.amāl hai
aaj se dīvāna hai 'hājir' koī
ek muddat se pareshāñ-hāl hai
sans tak aata nahin ye haal hai
ishq kya hai jaan ka janjal hai
fitna-e-mahshar tumhaari chaal hai
har qadam par dil mera pamal hai
hijr mein kis tarah aaega qarar
jab tumhaare samne ye haal hai
wo hamare pas kyon aane lage
nama-bar ki is mein koi chaal hai
ishq ki jo kuchh saza ho dijiye
hum ko apne jurm ka iqbaal hai
jis mein phans kar koi chhuTa hi nahin
wo tumhaare gesuon ka jal hai
tu bhi zahid un ko dekhe to kahe
kya jawani kya ada kya chaal hai
marsiya hai ye dil-e-marhum ka
ya hamara nama-e-amal hai
aaj se diwana hai 'hajir' koi
ek muddat se pareshan-haal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.