sans ukhDi hui sukhe hue lab kuchh bhi nahin
saañs ukhḌī huī sūkhe hue lab kuchh bhī nahīñ
pyaas kā naam hī raushan hai bas ab kuchh bhī nahīñ
sub.h tak phir bhī nahīñ bujhte haiñ āñkhoñ ke charāġh
jāntā huuñ ki pas-e-parda-e-shab kuchh bhī nahīñ
sar-e-ehsās pe dastār-e-fazīlat na rahī
bas ki ab silsila-e-nām-o-nasab kuchh bhī nahīñ
gul-e-imkān na sarsabz koī barg-e-umīd
ya.anī ab ke to sar-e-shāḳh-e-talab kuchh bhī nahīñ
be-ta.alluq rahe barsoñ to koī baat bhī thī
in dinoñ tum se na milne kā sabab kuchh bhī nahīñ
vaz.a-dārī hī bikharne nahīñ detī 'aḳhtar'
varna ham TuuTe hue logoñ meñ ab kuchh bhī nahīñ
sans ukhDi hui sukhe hue lab kuchh bhi nahin
pyas ka nam hi raushan hai bas ab kuchh bhi nahin
subh tak phir bhi nahin bujhte hain aankhon ke charagh
jaanta hun ki pas-e-parda-e-shab kuchh bhi nahin
sar-e-ehsas pe dastar-e-fazilat na rahi
bas ki ab silsila-e-nam-o-nasab kuchh bhi nahin
gul-e-imkan na sarsabz koi barg-e-umid
yani ab ke to sar-e-shaKH-e-talab kuchh bhi nahin
be-talluq rahe barson to koi baat bhi thi
in dinon tum se na milne ka sabab kuchh bhi nahin
waza-dari hi bikharne nahin deti 'aKHtar'
warna hum TuTe hue logon mein ab kuchh bhi nahin
- Book : siip (Magzin) (Pg. 240)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.