sanson ka iztirab hai bhaTke wajud mein
sāñsoñ kā iztirāb hai bhaTke vajūd meñ
har lamha ehtisāb hai bhaTke vajūd meñ
bāhar haiñ tīrgī kī ridā.eñ tanī huiiñ
mushkil meñ āftāb hai bhaTke vajūd meñ
ḳhud ko talāshne kī manāzil pe huuñ khaḌā
ye vaj.h-e-inqalāb hai bhaTke vajūd meñ
kaisī 'ajīb miTTī se tashkīl kī mirī
kyoñ hirs be-hisāb hai bhaTke vajūd meñ
jab tak ḳhirad ko 'ishq ne denī haiñ mohlateñ
tab tak gunah savāb hai bhaTke vajūd meñ
samjhegā kaun ruuh meñ chīḳhoñ kī bebasī
jo shāmil-e-nisāb hai bhaTke vajūd meñ
har aah ko maiñ she'r kī detā huuñ sūrateñ
har pal nayā 'azāb hai bhaTke vajūd meñ
karvaT badalnī chāhiye ab nafs ko mire
'mājid' jo mahv-e-ḳhvāb hai bhaTke vajūd meñ
sanson ka iztirab hai bhaTke wajud mein
har lamha ehtisab hai bhaTke wajud mein
bahar hain tirgi ki ridaen tani huin
mushkil mein aaftab hai bhaTke wajud mein
KHud ko talashne ki manazil pe hun khaDa
ye wajh-e-inqalab hai bhaTke wajud mein
kaisi 'ajib miTTi se tashkil ki meri
kyon hirs be-hisab hai bhaTke wajud mein
jab tak KHirad ko 'ishq ne deni hain mohlaten
tab tak gunah sawab hai bhaTke wajud mein
samjhega kaun ruh mein chiKHon ki bebasi
jo shamil-e-nisab hai bhaTke wajud mein
har aah ko main she'r ki deta hun suraten
har pal naya 'azab hai bhaTke wajud mein
karwaT badalni chahiye ab nafs ko mere
'majid' jo mahw-e-KHwab hai bhaTke wajud mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.