sanson ki rawani mein KHalal aane laga hai
sāñsoñ kī ravānī meñ ḳhalal aane lagā hai
Thahro ki bichhaḌ jaane kā pal aane lagā hai
kahte ho to lahje kī kamar sīdhī na kar luuñ
maanā ki mire ijz pe phal aane lagā hai
ye kyā ki har ik vaqt kī bezār samā.at
har lafz kī peshānī pe bal aane lagā hai
laao mirī āvāz kī dastār uThā kar
kam-zarf koī had se nikal aane lagā hai
lo ḳhatm hui umr-e-mah-o-sāl kī gintī
tamhīd thī jis kī vahī kal aane lagā hai
sanson ki rawani mein KHalal aane laga hai
Thahro ki bichhaD jaane ka pal aane laga hai
kahte ho to lahje ki kamar sidhi na kar lun
mana ki mere ijz pe phal aane laga hai
ye kya ki har ek waqt ki bezar samaat
har lafz ki peshani pe bal aane laga hai
lao meri aawaz ki dastar uTha kar
kam-zarf koi had se nikal aane laga hai
lo KHatm hui umr-e-mah-o-sal ki ginti
tamhid thi jis ki wahi kal aane laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.