sanson ki TuTi sargam mein ek miTha swar yaad raha
sāñsoñ kī TuuTī sargam meñ ik mīThā svar yaad rahā
yuuñ to sab kuchh bhuul gayā maiñ par terā ghar yaad rahā
yuuñ bhī koī milnā hai jo milne kī ghaḌiyoñ meñ bhī
milne se pahle is zālim duniyā kā Dar yaad rahā
varna maiñ bhī jhuk hī jaatā zulm kī andhī chaukhaT par
achchhā rahā ki mujh ko apne shā.ir kā sar yaad rahā
hoñToñ se jo baat huī vo nīl-gagan tak jā pahuñchī
āñkhoñ ne jo likkhā dil par akhshar akhshar yaad rahā
jis ke kāran tyaag tapasyā aur tap ko vanvās milā
soch rahā huuñ ik raanī ko kyuuñ aisā var yaad rahā
sanson ki TuTi sargam mein ek miTha swar yaad raha
yun to sab kuchh bhul gaya main par tera ghar yaad raha
yun bhi koi milna hai jo milne ki ghaDiyon mein bhi
milne se pahle is zalim duniya ka Dar yaad raha
warna main bhi jhuk hi jata zulm ki andhi chaukhaT par
achchha raha ki mujh ko apne shair ka sar yaad raha
honTon se jo baat hui wo nil-gagan tak ja pahunchi
aankhon ne jo likkha dil par akhshar akhshar yaad raha
jis ke karan tyag tapasya aur tap ko wanwas mila
soch raha hun ek rani ko kyun aisa war yaad raha
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 55)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.