sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din
sāñsoñ se ye kah do ki Thahar jaa.eñ kisī din
is dil pe karam itnā to farmā.eñ kisī din
ye dil ki jise rauñd ke har lamha gayā hai
parcham sā uThā kar ise lahrā.eñ kisī din
mumkin hai mire zarf kā taḳhmīna lagānā
is qāfila-e-dard ko Thahrā.eñ kisī din
is pe bhī girāñ guzregī ye ḳhū-e-jafā 'soz'
gar yaar bhī apnī pe utar aa.eñ kisī din
sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din
is dil pe karam itna to farmaen kisi din
ye dil ki jise raund ke har lamha gaya hai
parcham sa uTha kar ise lahraen kisi din
mumkin hai mere zarf ka taKHmina lagana
is qafila-e-dard ko Thahraen kisi din
is pe bhi giran guzregi ye KHu-e-jafa 'soz'
gar yar bhi apni pe utar aaen kisi din
- Book : Gunaah-e-sukhan (Pg. 27)
- Author : Kanti Mohan 'Soz'
- Publication : Kanti Mohan 'Soz' (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.