sanwli dhup surmai mausam
sāñvlī dhuup surma.ī mausam
phir vahī ham haiñ phir vahī mausam
ḳhair ho sā.ebān-e-gum-gashta
jhelne paḌ ga.e ka.ī mausam
dāstān-e-tazād hai goyā
shahr-e-ḳhūbāñ samundarī mausam
ham ne apnī bayāz meñ likkhe
dil pe biite hue sabhī mausam
ik ta'alluq hai 'ārzī yā'nī
mausam-e-gul hai 'ārzī mausam
dil-figāroñ ko kaun samjhā.e
lauTte kab haiñ maḳhmalī mausam
sanwli dhup surmai mausam
phir wahi hum hain phir wahi mausam
KHair ho saeban-e-gum-gashta
jhelne paD gae kai mausam
dastan-e-tazad hai goya
shahr-e-KHuban samundari mausam
hum ne apni bayaz mein likkhe
dil pe bite hue sabhi mausam
ek ta'alluq hai 'arzi ya'ni
mausam-e-gul hai 'arzi mausam
dil-figaron ko kaun samjhae
lauTte kab hain maKHmali mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.