saqi apna rind bhi apne toD gaya paimane kaun
saaqī apnā rind bhī apne toḌ gayā paimāne kaun
mai-ḳhvāroñ meñ nafrat phailī aayā thā bahkāne kaun
gulshan jaise pyaas kā sahrā maalī jaise ho sayyād
hare bhare is baaġh ko yaaro rauñd gayā hai jaane kaun
fasleñ bone vaale dahqāñ pūchheñ to kis se pūchheñ
bhūsa chhoḌ ke khaliyānoñ meñ bech gayā hai daane kaun
nisf sadī kā qissa hai jab ghar ghar sūraj niklā thā
raushan manzar meñ likhtā hai zulmat ke afsāne kaun
tum bhī mulzim ham bhī mulzim dād-rasī ab kaun kare
ye barbādī jurm hai jis kā ab us ko pahchāne kaun
na.ī luġhat meñ rāhbarī ke ma.anī chorī Daaka hoñ
saare shavāhid us ke haq meñ lekin ye sach maane kaun
kashtī ko 'āshūr' na laanā bhuul ke bhī sāhil ke qarīb
sāhil par basne vāloñ meñ hai bhī terā divāne kaun
saqi apna rind bhi apne toD gaya paimane kaun
mai-KHwaron mein nafrat phaili aaya tha bahkane kaun
gulshan jaise pyas ka sahra mali jaise ho sayyaad
hare bhare is bagh ko yaro raund gaya hai jaane kaun
faslen bone wale dahqan puchhen to kis se puchhen
bhusa chhoD ke khaliyanon mein bech gaya hai dane kaun
nisf sadi ka qissa hai jab ghar ghar suraj nikla tha
raushan manzar mein likhta hai zulmat ke afsane kaun
tum bhi mulzim hum bhi mulzim dad-rasi ab kaun kare
ye barbaadi jurm hai jis ka ab us ko pahchane kaun
nai lughat mein rahbari ke mani chori Daka hon
sare shawahid us ke haq mein lekin ye sach mane kaun
kashti ko 'ashur' na lana bhul ke bhi sahil ke qarib
sahil par basne walon mein hai bhi tera diwane kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.