saqi-e-baada-e-irfan tum ho
sāqī-e-bāda-e-irfāñ tum ho
shah-e-sanjar shah-e-jīlāñ tum ho
yamanī 'ishva o qarnī ġhamza
madanī jalva-ba-dāmāñ tum ho
sūrat-e-haq hai numāyāñ tum se
sūrat-e-haq meñ numāyāñ tum ho
faqr ko faḳhr banāyā tum ne
faqr meñ bū-zar-o-salmāñ tum ho
rūmī-o-shiblī-o-‘attār-o-junaid
ba-ḳhudā ‘īsā-e-daurāñ tum ho
dekh kar tum ko kise dekhe 'zahīn'
in nigāhoñ ke nigahbāñ tum ho
saqi-e-baada-e-irfan tum ho
shah-e-sanjar shah-e-jilan tum ho
yamani 'ishwa o qarni ghamza
madani jalwa-ba-daman tum ho
surat-e-haq hai numayan tum se
surat-e-haq mein numayan tum ho
faqr ko faKHr banaya tum ne
faqr mein bu-zar-o-salman tum ho
rumi-o-shibli-o-‘attar-o-junaid
ba-KHuda ‘isa-e-dauran tum ho
dekh kar tum ko kise dekhe 'zahin'
in nigahon ke nigahban tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.