saqi-e-bazm-e-tarab se mai-kade se jam se
saqi-e-bazm-e-tarab se mai-kade se jam se
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
sāqī-e-bazm-e-tarab se mai-kade se jaam se
kaam rakkhā hai hamesha ham ne apne kaam se
ho ke dil-bardashta uTThe haiñ bazm-e-ām se
ab chale ā.eñge ai qāsid vo mere naam se
shaiḳh jī ab mai-kade meñ pāk-bāzī kā savāl
pūchh leñge ham tumhāre jāma-e-ehrām se
qaidī-e-zindān-e-ġham haiñ ham jahān-e-zīst meñ
bhaag jaanā hai nikal kar ālam-e-ajsām se
ham ne ab samjhā hai aakar bazm-e-hastī kā fareb
rah ga.e haiñ jab lipaT kar dāman-e-auhām se
merī tāb-e-dīd kī ik āzmā.ish ke liye
aaj to jalvoñ kī bārish ho rahī hai baam se
kyā batā.ūñ kaise kaise mujh pe Dhaa.e haiñ sitam
gardish-e-qismat ne mil kar gardish-e-ayyām se
ham to ai 'ḳhushtar' samajhte haiñ ki mar kar jī uThe
maut ne ham ko chhuḌāyā ziist ke ālām se
saqi-e-bazm-e-tarab se mai-kade se jam se
kaam rakkha hai hamesha hum ne apne kaam se
ho ke dil-bardashta uTThe hain bazm-e-am se
ab chale aaenge ai qasid wo mere nam se
shaiKH ji ab mai-kade mein pak-bazi ka sawal
puchh lenge hum tumhaare jama-e-ehram se
qaidi-e-zindan-e-gham hain hum jahan-e-zist mein
bhag jaana hai nikal kar aalam-e-ajsam se
hum ne ab samjha hai aakar bazm-e-hasti ka fareb
rah gae hain jab lipaT kar daman-e-auham se
meri tab-e-did ki ek aazmaish ke liye
aaj to jalwon ki barish ho rahi hai baam se
kya bataun kaise kaise mujh pe Dhae hain sitam
gardish-e-qismat ne mil kar gardish-e-ayyam se
hum to ai 'KHushtar' samajhte hain ki mar kar ji uThe
maut ne hum ko chhuDaya zist ke aalam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.