saqi hain roz-e-nau-bahaar yak do sah chaar panj o shash
saqi hain roz-e-nau-bahaar yak do sah chaar panj o shash
Hasrat Azimabadi
MORE BYHasrat Azimabadi
saaqī haiñ roz-e-nau-bahār yak do sah chaar panj o shash
de mujhe jām-e-ḳhush-gavār yak do sah chaar panj o shash
bosa maiñ lūñgā gin ke yaar yak do sah chaar panj o shash
kah chukā bas maiñ ek baar yak do sah chaar panj o shash
pahuñcheñ na tujh ko gul-izār yak do sah chaar panj o shash
ruḳh tirā ek aur bahār yak do sah chaar panj o shash
ghereñ raheñ haiñ tujh ko yaar yak do sah chaar panj o shash
said tū jo kare shikār yak do sah chaar panj o shash
sub.h-e-visāl kā bhī din dekhūñgā ai ḳhudā kabhī
ho chukīñ shām-e-intizār yak do sah chaar panj o shash
jī mirā chāhtā hai yuuñ hove jo dastaras kabhī
tujh par karūñ maiñ jāñ-nisār yak do sah chaar panj o shash
bosoñ ke tere lab pe haiñ mere udhār be-shumār
de hai tū kuchh bhī kar shumār yak do sah chaar panj o shash
hijr kī shab ai māh-rū ro ro gineñ haiñ sub.h tak
taare ye chashm-e-ashk-bār yak do sah chaar panj o shash
uñgliyoñ pe ginūñ huuñ maiñ ghaḌiyāñ umīd-e-vasl meñ
juuñ gine sāhib-e-qimār yak do sah chaar panj o shash
shash-jihat-e-jahāñ ke pech muñh karūñ jidhar ko maiñ
hote haiñ mujh se ġham do-chār yak do sah chaar panj o shash
'hasrat'-e-ġham-zada kā ġham khāvegā tū agar na yaar
us ke haiñ tujh se ġham-gusār yak do sah chaar panj o shash
saqi hain roz-e-nau-bahaar yak do sah chaar panj o shash
de mujhe jam-e-KHush-gawar yak do sah chaar panj o shash
bosa main lunga gin ke yar yak do sah chaar panj o shash
kah chuka bas main ek bar yak do sah chaar panj o shash
pahunchen na tujh ko gul-izar yak do sah chaar panj o shash
ruKH tera ek aur bahaar yak do sah chaar panj o shash
gheren rahen hain tujh ko yar yak do sah chaar panj o shash
said tu jo kare shikar yak do sah chaar panj o shash
subh-e-visal ka bhi din dekhunga ai KHuda kabhi
ho chukin sham-e-intizar yak do sah chaar panj o shash
ji mera chahta hai yun howe jo dastaras kabhi
tujh par karun main jaan-nisar yak do sah chaar panj o shash
boson ke tere lab pe hain mere udhaar be-shumar
de hai tu kuchh bhi kar shumar yak do sah chaar panj o shash
hijr ki shab ai mah-ru ro ro ginen hain subh tak
tare ye chashm-e-ashk-bar yak do sah chaar panj o shash
ungliyon pe ginun hun main ghaDiyan umid-e-wasl mein
jun gine sahib-e-qimar yak do sah chaar panj o shash
shash-jihat-e-jahan ke pech munh karun jidhar ko main
hote hain mujh se gham do-chaar yak do sah chaar panj o shash
'hasrat'-e-gham-zada ka gham khawega tu agar na yar
us ke hain tujh se gham-gusar yak do sah chaar panj o shash
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.