saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja
saaqī jo diye jaa.e ye kah kar ki piye jā
to maiñ bhī piye jā.ūñ ye kah kar ki diye jā
jaane kī jo zid hai to mujhe zahr diye jā
itnā to kahā maan le itnā to kiye jā
kuchh aur na kar mujh pe jafā.eñ tū kiye jā
kuchh aur na le merī duā.eñ tū liye jā
kyā lazzat-e-ta.azīr ne majbūr kiyā hai
aatā hai yahī jī meñ ki taqsīr kiye jā
kam-baḳht 'rasā' terī rasā.ī nahīñ un tak
tū ḳhuub sā islām ko badnām kiye jā
saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja
to main bhi piye jaun ye kah kar ki diye ja
jaane ki jo zid hai to mujhe zahr diye ja
itna to kaha man le itna to kiye ja
kuchh aur na kar mujh pe jafaen tu kiye ja
kuchh aur na le meri duaen tu liye ja
kya lazzat-e-tazir ne majbur kiya hai
aata hai yahi ji mein ki taqsir kiye ja
kam-baKHt 'rasa' teri rasai nahin un tak
tu KHub sa islam ko badnam kiye ja
- Book : Noquush (Pg. B-402 E412)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.