Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

Mahirul Qadri

saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

Mahirul Qadri

MORE BYMahirul Qadri

    saaqī navāzish ne to aur aag lagā

    duniyā ye samajhtī hai mirī pyaas bujhā

    ek baar tujhe aql ne chāhā thā bhulānā

    sau baar junūñ ne tirī tasvīr dikhā

    is baat ko kahte hue Darte haiñ safīne

    tūfāñ ko ḳhudī dāman-e-sāhil ne havā

    maanā ki maiñ pāmāl huā zaḳhm bhī khaa.e

    auroñ ke liye raah to āsān banā

    utnī to mai-e-nāb meñ garmī nahīñ hotī

    saaqī ne koī chiiz nigāhoñ se milā

    vo chain se baiThe haiñ mire dil ko miTā kar

    ye bhī nahīñ ehsās ki kyā chiiz miTā

    ai bād-e-chaman tujh ko na aanā thā qafas meñ

    ne to mirī qaid mī.ād baḌhā

    le de ke tire dāman-e-ummīd meñ 'māhir'

    ek chiiz javānī thī javānī bhī luTā

    saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

    duniya ye samajhti hai meri pyas bujha di

    ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana

    sau bar junun ne teri taswir dikha di

    is baat ko kahte hue Darte hain safine

    tufan ko KHudi daman-e-sahil ne hawa di

    mana ki main pamal hua zaKHm bhi khae

    auron ke liye rah to aasan bana di

    utni to mai-e-nab mein garmi nahin hoti

    saqi ne koi chiz nigahon se mila di

    wo chain se baiThe hain mere dil ko miTa kar

    ye bhi nahin ehsas ki kya chiz miTa di

    ai baad-e-chaman tujh ko na aana tha qafas mein

    tu ne to meri qaid ki miad baDha di

    le de ke tere daman-e-ummid mein 'mahir'

    ek chiz jawani thi jawani bhi luTa di

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahirul Qadri

    Mahirul Qadri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now