saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh
saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh
Shaikh Meer Bakhsh Masroor
MORE BYShaikh Meer Bakhsh Masroor
saaqī mai-e-gul-rañg mire lab se milā dekh
jis vaqt bahakne maiñ lagūñ tab tū maza dekh
gar dekhnā hai bulbul-e-nālāñ kā tamāsha
to bād-e-sabā baaġh meñ tū gul ko hañsā dekh
bigḌī hai shab-e-vasl to vo mujh se kahe hai
ab kī to badan ko tū mire haath lagā dekh
pīchhā tirā chhoḌeñ na kabhī bosa liye bin
do roz ham aisoñ ko zarā muñh to lagā dekh
kyā fā.eda gar us ke dil-o-jāñ kā zarar ho
'masrūr' ko yuuñ ḳhuuñ na rulā rañg-e-hinā dekh
saqi mai-e-gul-rang mere lab se mila dekh
jis waqt bahakne main lagun tab tu maza dekh
gar dekhna hai bulbul-e-nalan ka tamasha
to baad-e-saba bagh mein tu gul ko hansa dekh
bigDi hai shab-e-wasl to wo mujh se kahe hai
ab ki to badan ko tu mere hath laga dekh
pichha tera chhoDen na kabhi bosa liye bin
do roz hum aison ko zara munh to laga dekh
kya faeda gar us ke dil-o-jaan ka zarar ho
'masrur' ko yun KHun na rula rang-e-hina dekh
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 227)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.