saqi ne ki nigah to arman nikal gae
saaqī ne kī nigāh to armāñ nikal ga.e
jab tak sharāb aa.e ka.ī daur chal ga.e
ye asr-e-nau hai bāda-kashoñ hosh meñ raho
sañbhlo ki mai-kashī ke tarīqe badal ga.e
bad-baḳht haiñ jo kūcha-e-mahbūb chhoḌ kar
dīvāna-vār jānib-e-sahrā nikal ga.e
pahchān kar bhī tum mujhe pahchānte nahīñ
do din rahe jo duur to itne badal ga.e
sharminda mehr-o-māh bhī haiñ jin ke nuur se
aise charāġh rāh-e-mohabbat meñ jal ga.e
rūdād-e-fasl-e-gul na sunā mauja-e-nasīm
sun kar chaman kā haal kaleje dahal ga.e
saaqī tirī nigāh meñ aisā asar bhī hai
bahke ye bāda-ḳhvār jahāñ par sañbhal ga.e
'shā.ir' kahāñ kī fikr kahāñ kī suḳhanvarī
jazbāt-e-ishq sher ke sāñche meñ Dhal ga.e
saqi ne ki nigah to arman nikal gae
jab tak sharab aae kai daur chal gae
ye asr-e-nau hai baada-kashon hosh mein raho
sanbhlo ki mai-kashi ke tariqe badal gae
bad-baKHt hain jo kucha-e-mahbub chhoD kar
diwana-war jaanib-e-sahra nikal gae
pahchan kar bhi tum mujhe pahchante nahin
do din rahe jo dur to itne badal gae
sharminda mehr-o-mah bhi hain jin ke nur se
aise charagh rah-e-mohabbat mein jal gae
rudad-e-fasl-e-gul na suna mauja-e-nasim
sun kar chaman ka haal kaleje dahal gae
saqi teri nigah mein aisa asar bhi hai
bahke ye baada-KHwar jahan par sanbhal gae
'shair' kahan ki fikr kahan ki suKHanwari
jazbaat-e-ishq sher ke sanche mein Dhal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.