saqi ruKH-e-hayat se parda uTha diya
saaqī ruḳh-e-hayāt se parda uThā diyā
jām-e-sifāl meñ ye mujhe kyā pilā diyā
'bismil' hī thā jo vaqt-e-ajal muskurā diyā
duniyā ko us kī maut ne jiinā sikhā diyā
ik soz-e-nā-tamām ik andoh-e-be-sabāt
ai rahmat-e-tamām batā mujh ko kyā diyā
ham ne nahīñ to kis ne nazar ko zabān dī
hāl-e-zabūñ kahā na gayā aur sunā diyā
vo ḳhud sharāb le ke baḌheñ ḳhud kaheñ ki pī
be-sabr tū ne kis liye sāġhar baḌhā diyā
saaqī tirī adā kī qasam chuuk ho ga.ī
dekhā jo iltifāt to sāġhar baḌhā diyā
ham se kisī ke 'ishq meñ ye to nahīñ huā
har āstāñ pe sajda kiyā sar jhukā diyā
'bismil' kī maut kā jo koī le gayā payām
muñh se to kuchh vo kah na sake sar jhukā diyā
saqi ruKH-e-hayat se parda uTha diya
jam-e-sifal mein ye mujhe kya pila diya
'bismil' hi tha jo waqt-e-ajal muskura diya
duniya ko us ki maut ne jina sikha diya
ek soz-e-na-tamam ek andoh-e-be-sabaat
ai rahmat-e-tamam bata mujh ko kya diya
hum ne nahin to kis ne nazar ko zaban di
haal-e-zabun kaha na gaya aur suna diya
wo KHud sharab le ke baDhen KHud kahen ki pi
be-sabr tu ne kis liye saghar baDha diya
saqi teri ada ki qasam chuk ho gai
dekha jo iltifat to saghar baDha diya
hum se kisi ke 'ishq mein ye to nahin hua
har aastan pe sajda kiya sar jhuka diya
'bismil' ki maut ka jo koi le gaya payam
munh se to kuchh wo kah na sake sar jhuka diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.