saqi teri nazar ke parastar kya hue
saaqī tirī nazar ke parastār kyā hue
vīrān bāda-ḳhāna hai mai-ḳhvār kyā hue
aahaT hai aah kī na sadā hai karāh kī
ai chārāgar batā tire bīmār kyā hue
kyā qaidiyoñ kī aah ne zindāñ ko Dhā diyā
darbāñ kahāñ ga.e dar-o-dīvār kyā hue
saarā jahān aaj bhī bāzār-e-misr hai
yūsuf-farosh chup haiñ ḳharīdār kyā hue
allāh re karishma-e-josh-e-junūn-e-ishq
ham be-ḳhudī meñ kho ga.e hushiyār kyā hue
vo aa.eñ sāmne to maiñ pūchhūñ ba-sad-adab
va.ade tamām aap ke sarkār kyā hue
ik shauq-e-nā-tamām ne añgḌā.ī lī 'muhib'
aaj un ke ittifāq se dīdār kyā hue
saqi teri nazar ke parastar kya hue
viran baada-KHana hai mai-KHwar kya hue
aahaT hai aah ki na sada hai karah ki
ai chaaragar bata tere bimar kya hue
kya qaidiyon ki aah ne zindan ko Dha diya
darban kahan gae dar-o-diwar kya hue
sara jahan aaj bhi bazar-e-misr hai
yusuf-farosh chup hain KHaridar kya hue
allah re karishma-e-josh-e-junun-e-ishq
hum be-KHudi mein kho gae hushiyar kya hue
wo aaen samne to main puchhun ba-sad-adab
wade tamam aap ke sarkar kya hue
ek shauq-e-na-tamam ne angDai li 'muhib'
aaj un ke ittifaq se didar kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.