saqiya abr hai de jam shitab ek par ek
sāqiyā abr hai de jaam shitāb ek par ek
aaj mahfil meñ gire mast-e-sharāb ek par ek
gul-e-bāzī hai hasīnoñ meñ mirā afsāna
pheñk detā hai mohabbat kī kitāb ek par ek
josh par hai jo tirā husn to ai parda-nashīñ
roz kartā hai ġhazab band-e-naqāb ek par ek
toḌ is tarah se ai nāla-e-dil sātoñ falak
ki gireñ TuuT ke ye ḳhāna-ḳharāb ek par ek
lab-e-jū sair ko aaya hai jo vo bahr-e-jamāl
TuuTā paḌtā hai tamāshe ko habāb ek par ek
yaad aatī hai unheñ dam-ba-dam ik baat na.ī
roz aatā hai mire ḳhat kā javāb ek par ek
jab kabhī 'dāġh' kiyā ham ne savāl-e-bosa
saikḌoñ us ne diye saḳht javāb ek par ek
saqiya abr hai de jam shitab ek par ek
aaj mahfil mein gire mast-e-sharab ek par ek
gul-e-bazi hai hasinon mein mera afsana
phenk deta hai mohabbat ki kitab ek par ek
josh par hai jo tera husn to ai parda-nashin
roz karta hai ghazab band-e-naqab ek par ek
toD is tarah se ai nala-e-dil saton falak
ki giren TuT ke ye KHana-KHarab ek par ek
lab-e-ju sair ko aaya hai jo wo bahr-e-jamal
TuTa paDta hai tamashe ko habab ek par ek
yaad aati hai unhen dam-ba-dam ek baat nai
roz aata hai mere KHat ka jawab ek par ek
jab kabhi 'dagh' kiya hum ne sawal-e-bosa
saikDon us ne diye saKHt jawab ek par ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.