saqiya hai ye jam ka aalam
sāqiyā hai ye jaam kā aalam
jaise māh-e-tamām kā aalam
kabk raftār apnī bhuul ga.e
dekho us ke ḳhirām kā aalam
ab ḳhudā phir hameñ na dikhlā.e
shab-e-hijrāñ kī shaam kā aalam
tujh pe hai in dinoñ meñ nām-e-ḳhudā
kuchh ajab dhūm-dhām kā aalam
saqiya hai ye jam ka aalam
jaise mah-e-tamam ka aalam
kabk raftar apni bhul gae
dekho us ke KHiram ka aalam
ab KHuda phir hamein na dikhlae
shab-e-hijran ki sham ka aalam
tujh pe hai in dinon mein nam-e-KHuda
kuchh ajab dhum-dham ka aalam
- Book : Noquush (Pg. B-405 E-415)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.