saqiya jam ke pila aaKHir-e-shab
sāqiyā jam ke pilā āḳhir-e-shab
chal paḌī kaisī havā āḳhir-e-shab
mujh ko le jaa.e sitāroñ ke pare
vo jo hai hūr-numā āḳhir-e-shab
kah ga.ī mujh se ġhazal kā matla'
ḳhushbū-e-dast-e-hinā āḳhir-e-shab
ik tarannum meñ sajī ḳhāmoshī
gungunātā maiñ rahā āḳhir-e-shab
ik tire naam pe hañste rote
pūchh kyā kyā na kiyā āḳhir-e-shab
sub.h hone ko hai bīmār chalā
yaad kyā aa.ī davā āḳhir-e-shab
us parī-zād ke afsāne tamām
chāñd-tāroñ se sunā āḳhir-e-shab
ab tirī yaad ke jugnū bhī bujhe
tīrgī aur bhī sivā āḳhir-e-shab
shab-nazhād aane ko hai ai 'asrār'
raah tāroñ se sajā āḳhir-e-shab
saqiya jam ke pila aaKHir-e-shab
chal paDi kaisi hawa aaKHir-e-shab
mujh ko le jae sitaron ke pare
wo jo hai hur-numa aaKHir-e-shab
kah gai mujh se ghazal ka matla'
KHushbu-e-dast-e-hina aaKHir-e-shab
ek tarannum mein saji KHamoshi
gungunata main raha aaKHir-e-shab
ek tere nam pe hanste rote
puchh kya kya na kiya aaKHir-e-shab
subh hone ko hai bimar chala
yaad kya aai dawa aaKHir-e-shab
us pari-zad ke afsane tamam
chand-taron se suna aaKHir-e-shab
ab teri yaad ke jugnu bhi bujhe
tirgi aur bhi siwa aaKHir-e-shab
shab-nazhad aane ko hai ai 'asrar'
rah taron se saja aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.