saqiya lutf mai ka jab aae
sāqiyā lutf mai kā jab aa.e
jaam par jaam be-talab aa.e
tum na milte agar to yuuñ lagtā
ham zamāne meñ be-sabab aa.e
shaḳhs ik se thiiñ raunaqeñ saarī
vo jab aaya lagā ki sab aa.e
rashk se chāñd jal uThā kitnā
baam par jab vo ek shab aa.e
zindagī tū to bevafā niklī
maut bhī kaun jaane kab aa.e
kab talak maut se raheñ Darte
kal hai aanā jise vo ab aa.e
baat vā'iz kī maan leñ kaise
bin piye chain ham ko kab aa.e
lab hoñ sūkhe to ai 'sadā' kaise
harf-e-tauba bhī zer-e-lab aa.e
saqiya lutf mai ka jab aae
jam par jam be-talab aae
tum na milte agar to yun lagta
hum zamane mein be-sabab aae
shaKHs ek se thin raunaqen sari
wo jab aaya laga ki sab aae
rashk se chand jal uTha kitna
baam par jab wo ek shab aae
zindagi tu to bewafa nikli
maut bhi kaun jaane kab aae
kab talak maut se rahen Darte
kal hai aana jise wo ab aae
baat wa'iz ki man len kaise
bin piye chain hum ko kab aae
lab hon sukhe to ai 'sada' kaise
harf-e-tauba bhi zer-e-lab aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.