saqiya mar ke uThenge tere mai-KHane se
sāqiyā mar ke uTheñge tire mai-ḳhāne se
ahd-o-paimāñ haiñ yahī ziist meñ paimāne se
tū kahāñ aa.ī mirā dard baTāne ke liye
ai shab-e-hijr nikal jā mire ġham-ḳhāne se
kaun hotā hai musībat meñ kisī kā dil-soz
uTh ga.ī sham.a bhī jal kar mire kāshāne se
kuchh yahī kohkan-o-qais pe guzrī hogī
miltī-jultī hai kahānī mire afsāne se
jubba-farsā-e-dar-e-ka.aba the kal tak to 'zahīr'
girte paḌte hue aaj aate haiñ maiḳhāne se
saqiya mar ke uThenge tere mai-KHane se
ahd-o-paiman hain yahi zist mein paimane se
tu kahan aai mera dard baTane ke liye
ai shab-e-hijr nikal ja mere gham-KHane se
kaun hota hai musibat mein kisi ka dil-soz
uTh gai shama bhi jal kar mere kashane se
kuchh yahi kohkan-o-qais pe guzri hogi
milti-julti hai kahani mere afsane se
jubba-farsa-e-dar-e-kaba the kal tak to 'zahir'
girte paDte hue aaj aate hain maiKHane se
- Book : Noquush (Pg. B-290 E306)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.