saqiya ye jo tujhko ghere hain
sāqiyā ye jo tujh ko ghere haiñ
in meñ kuchh riñd kuchh luTere haiñ
apnī tahzīb khā rahī hai hameñ
saañp ke muñh meñ ḳhud sapere haiñ
jis ne baḳhshe haiñ phuul gulshan ko
us ne kuchh ḳhaar bhī bikhere haiñ
kal jo tūfān thā samundar meñ
us ke ab sāhiloñ pe Dere haiñ
tere baare meñ kuchh nahīñ ma.alūm
ham agar haiñ to sirf tere haiñ
hosh-o-ġhaflat meñ paas hī maujūd
mujh ko vo har taraf se ghere haiñ
tum se to kyā nazar milā.eñge
ḳhud se bhī ham nigāh phere haiñ
dar-haqīqat vahī adū haiñ 'falak'
jin ko kahtā hai tū ki mere haiñ
saqiya ye jo tujh ko ghere hain
in mein kuchh rind kuchh luTere hain
apni tahzib kha rahi hai hamein
sanp ke munh mein KHud sapere hain
jis ne baKHshe hain phul gulshan ko
us ne kuchh KHar bhi bikhere hain
kal jo tufan tha samundar mein
us ke ab sahilon pe Dere hain
tere bare mein kuchh nahin malum
hum agar hain to sirf tere hain
hosh-o-ghaflat mein pas hi maujud
mujh ko wo har taraf se ghere hain
tum se to kya nazar milaenge
KHud se bhi hum nigah phere hain
dar-haqiqat wahi adu hain 'falak'
jin ko kahta hai tu ki mere hain
- Book : Harf-o-sada (Pg. 70)
- Author : Hira lal Falak Dehlvi
- Publication : Hira lal Falak Dehlvi (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.