sara aalam dhuan dhuan kyun hai
saarā aalam dhuāñ dhuāñ kyuuñ hai
har taraf aah aur fuġhāñ kyuuñ hai
band hai aaj kyā dar-e-rahmat
har duā merī rā.egāñ kyuuñ hai
pī liyā kyā sitam ne āb-e-hayāt
ḳhauf se band har zabāñ kyuuñ hai
saath chaltī hai mere har jānib
is qadar barq mehrbāñ kyuuñ hai
aa ke sāhil pe kaun Duub gayā
mauj kī har adā javāñ kyuuñ hai
jism hai ruuh mar chukī kab kī
marg pe ziist kā gumāñ kyuuñ hai
jab fanā hī nasīb hai sab kā
phir ye hañgāma-e-jahāñ kyuuñ hai
sara aalam dhuan dhuan kyun hai
har taraf aah aur fughan kyun hai
band hai aaj kya dar-e-rahmat
har dua meri raegan kyun hai
pi liya kya sitam ne aab-e-hayat
KHauf se band har zaban kyun hai
sath chalti hai mere har jaanib
is qadar barq mehrban kyun hai
aa ke sahil pe kaun Dub gaya
mauj ki har ada jawan kyun hai
jism hai ruh mar chuki kab ki
marg pe zist ka guman kyun hai
jab fana hi nasib hai sab ka
phir ye hangama-e-jahan kyun hai
- Book : Salsabeel (Pg. 38)
- Author : Ahmed Shahid Khan
- Publication : Ahmed Shahid Khan, Dep. Electronics Enginering (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.