sara aalam tera markaz kis ko mai-KHana kahen
saarā aalam terā markaz kis ko mai-ḳhāna kaheñ
kis ko saaqī kis ko sāġhar kis ko paimāna kaheñ
sham.a ham kis ko kaheñ aur kis ko parvāna kaheñ
kaun haiñ ahl-e-ḳhirad aur kis ko dīvāna kaheñ
mahv-e-hairat hī raheñ ham yā ki jānānāñ kaheñ
ġhair kā shikva kareñ yā apnā afsāna kaheñ
gar koī badle meñ dil māñge to dīvāna kaheñ
ham use tohfa kaheñ aur aap nazrāna kaheñ
ai 'sadaf' ye aarzū hai jān-e-mai-ḳhāna kaheñ
ham ko parvāna kaheñ vo apnā dīvāna kaheñ
sara aalam tera markaz kis ko mai-KHana kahen
kis ko saqi kis ko saghar kis ko paimana kahen
shama hum kis ko kahen aur kis ko parwana kahen
kaun hain ahl-e-KHirad aur kis ko diwana kahen
mahw-e-hairat hi rahen hum ya ki jaananan kahen
ghair ka shikwa karen ya apna afsana kahen
gar koi badle mein dil mange to diwana kahen
hum use tohfa kahen aur aap nazrana kahen
ai 'sadaf' ye aarzu hai jaan-e-mai-KHana kahen
hum ko parwana kahen wo apna diwana kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.