sara bagh ulajh jata hai aisi be-tartibi se
saarā baaġh ulajh jaatā hai aisī be-tartībī se
mujh meñ phailne lag jaatī hai ḳhushbū apnī marzī se
har manzar ko majma.a meñ se yuuñ uTh uTh kar dekhte haiñ
ho saktā hai shohrat pā leñ ham apnī dilchaspī se
in ā.ankhoñ se do ik aañsū Tapke hoñ to yaad nahīñ
ham ne apnā vaqt guzārā har mumkin ḳhāmoshī se
barf jamī hai manzil manzil raste ātish-dān meñ haiñ
baiThā raakh kured rahā huuñ maiñ apnī baisākhī se
ḳhvāboñ ke ḳhush-hāl parinde sar par yuuñ mañDlāte haiñ
duur se pahchāne jaate haiñ ham apnī be-ḳhvābī se
dil se nikāle jā sakte haiñ ḳhauf bhī aur ḳharābe bhī
lekin azal abad ko 'ādil' kaun nikāle bastī se
sara bagh ulajh jata hai aisi be-tartibi se
mujh mein phailne lag jati hai KHushbu apni marzi se
har manzar ko majma mein se yun uTh uTh kar dekhte hain
ho sakta hai shohrat pa len hum apni dilchaspi se
in aaankhon se do ek aansu Tapke hon to yaad nahin
hum ne apna waqt guzara har mumkin KHamoshi se
barf jami hai manzil manzil raste aatish-dan mein hain
baiTha rakh kured raha hun main apni baisakhi se
KHwabon ke KHush-haal parinde sar par yun manDlate hain
dur se pahchane jate hain hum apni be-KHwabi se
dil se nikale ja sakte hain KHauf bhi aur KHarabe bhi
lekin azal abad ko 'adil' kaun nikale basti se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.