sara iman imkan ki rah mein bas tumhaare shaghaf se chala aata hai
sara iman imkan ki rah mein bas tumhaare shaghaf se chala aata hai
Mohammad Tausif
MORE BYMohammad Tausif
saarā īmān imkān kī raah meñ bas tumhāre shaġhaf se chalā aatā hai
hur sar-e-karbalā jaise shabbīr kī samt dushman kī saf se chalā aatā hai
maiñ tumhārā to mehvar nahīñ jāntā haañ magar maiñ kisī kī nigāhoñ meñ huuñ
girne lagtā huuñ to thāmne ke liye haath koī najaf se chalā aatā hai
kaan har aib par thaap ke muntazir aañkh Tak terī kamzoriyoñ par rahī
dostā tū kahāñ reñgtā reñgtā mere kurte ke kaf se chalā aatā hai
dekh chilla zarūrī hai az-rāh-e-pākīzgī-e-nafs tā-ba fardā-e-hashr
baa'd muddat koī zarra juuñ ban ke motī dahān-e-sadaf se chalā aatā hai
ḳhāmushī ilm hai is liye sāhib-e-ma.arifat bolte haiñ bahut soch kar
jaise dhāga udhaḌtā huā ek tartīb ke saath ġhaf se chalā aatā hai
yaad maiñ 'alvī' jis ke liye to duā baa'd masjid ke mandir meñ bhī ho chukī
tū mujhe kyā harā.egī merī madad ko ḳhudā har taraf se chalā aatā hai
sara iman imkan ki rah mein bas tumhaare shaghaf se chala aata hai
hur sar-e-karbala jaise shabbir ki samt dushman ki saf se chala aata hai
main tumhaara to mehwar nahin jaanta han magar main kisi ki nigahon mein hun
girne lagta hun to thamne ke liye hath koi najaf se chala aata hai
kan har aib par thap ke muntazir aankh Tak teri kamzoriyon par rahi
dosta tu kahan rengta rengta mere kurte ke kaf se chala aata hai
dekh chilla zaruri hai az-rah-e-pakizgi-e-nafs ta-ba farda-e-hashr
ba'd muddat koi zarra jun ban ke moti dahan-e-sadaf se chala aata hai
KHamushi ilm hai is liye sahib-e-marifat bolte hain bahut soch kar
jaise dhaga udhaDta hua ek tartib ke sath ghaf se chala aata hai
yaad main 'alwi' jis ke liye to dua ba'd masjid ke mandir mein bhi ho chuki
tu mujhe kya haraegi meri madad ko KHuda har taraf se chala aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.