sara jahan chhoD ke tum se hi pyar tha
saarā jahān chhoḌ ke tum se hī pyaar thā
tum jo bhī kah rahe the mujhe e'tibār thā
taqrīr netā-jī ne jo bastī meñ aaj kī
us kā har ek lafz hameñ nāgavār thā
ghar meñ ḳhudā ke der hai andher to nahīñ
rahmat ke dar khuleñge yahī intizār thā
us ko hamārī chaah kī kuchh bhī ḳhabar nahīñ
jis ke liye hamārā ye dil be-qarār thā
kuchh sūjhtā nahīñ thā javānī ke josh meñ
ḳhvāboñ ke dosh par vo ajal se savār thā
jo log kar rahe ye hamārī muḳhālifat
ham ko ḳhabar nahīñ ki vo un meñ shumār thā
sara jahan chhoD ke tum se hi pyar tha
tum jo bhi kah rahe the mujhe e'tibar tha
taqrir neta-ji ne jo basti mein aaj ki
us ka har ek lafz hamein nagawar tha
ghar mein KHuda ke der hai andher to nahin
rahmat ke dar khulenge yahi intizar tha
us ko hamari chah ki kuchh bhi KHabar nahin
jis ke liye hamara ye dil be-qarar tha
kuchh sujhta nahin tha jawani ke josh mein
KHwabon ke dosh par wo ajal se sawar tha
jo log kar rahe ye hamari muKHalifat
hum ko KHabar nahin ki wo un mein shumar tha
- Book : Rehguzar (Pg. 60)
- Author : Shobha Kukkal
- Publication : Kalpant publication B-2 Mansrovar park shahdra delhi-32 (2012-2013)
- Edition : 2012-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.