saarā jīvan guzār aayā hai
ab use e'tibār aayā hai
us galī se mujhe mohabbat thī
us galī se hī vaar aayā hai
us kī āñkhoñ meñ dard hai merā
us pe kitnā nikhār aayā hai
raat mukhḌā vahī gulābī sā
mere sapnoñ ke paar aayā hai
sara jiwan guzar aaya hai
ab use e'tibar aaya hai
us gali se mujhe mohabbat thi
us gali se hi war aaya hai
us ki aankhon mein dard hai mera
us pe kitna nikhaar aaya hai
raat mukhDa wahi gulabi sa
mere sapnon ke par aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.