sara peD hara tha us mein ek hi patta pila tha
saarā peḌ harā thā us meñ ek hī pattā piilā thā
man-pīpal ko dhuup meñ dekhā dard baḌā chamkīlā thā
us kī mastī us kī bātoñ kā maiñ zimma-dār nahīñ
maiñ kuchh aisā shoḳh nahīñ thā vo hī thoḌā nashīlā thā
puure chāñd se barsā jaadū jism nahīñ do saa.e the
hadd-e-nazar tak naqsh-e-qadam the yā phir ret kā Tiila thā
rafta-rafta miT hī gayā ḳhud us kī be-rahmī kā daaġh
yādoñ ke raushan chehre par ek nishāñ jo niilā thā
āñkhoñ ko ma.alūm nahīñ thā kitne jharne niir bahe
sub.h ko ye ehsās huā ki puurā takiya giilā thā
jis ke lams-e-tamanna par puurā īmāñ thā puurā yaqīn
kal jab us se marham māñgā us kā lahja kaTīlā thā
aaj bhī mere man ke andar koī bālak rahtā hai
tum ne dekhā us ke aage aaj bhī maiñ sharmīlā thā
sara peD hara tha us mein ek hi patta pila tha
man-pipal ko dhup mein dekha dard baDa chamkila tha
us ki masti us ki baaton ka main zimma-dar nahin
main kuchh aisa shoKH nahin tha wo hi thoDa nashila tha
pure chand se barsa jadu jism nahin do sae the
hadd-e-nazar tak naqsh-e-qadam the ya phir ret ka Tila tha
rafta-rafta miT hi gaya KHud us ki be-rahmi ka dagh
yaadon ke raushan chehre par ek nishan jo nila tha
aankhon ko malum nahin tha kitne jharne nir bahe
subh ko ye ehsas hua ki pura takiya gila tha
jis ke lams-e-tamanna par pura iman tha pura yaqin
kal jab us se marham manga us ka lahja kaTila tha
aaj bhi mere man ke andar koi baalak rahta hai
tum ne dekha us ke aage aaj bhi main sharmila tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.