sara qissa tamam kar lije
saarā qissa tamām kar liije
aap pahle salām kar liije
nafratoñ se bharī hai ye duniyā
dil ke andar qayām kar liije
ham bhī to us ḳhudā ke bande haiñ
ham se bhī rām-rām kar liije
ik tarīqa hai jañg rukne kā
jañg ḳhud pe harām kar liije
maulvī āsmāñ kī kahtā hai
aap duniyā ke kaam kar liije
sara qissa tamam kar lije
aap pahle salam kar lije
nafraton se bhari hai ye duniya
dil ke andar qayam kar lije
hum bhi to us KHuda ke bande hain
hum se bhi ram-ram kar lije
ek tariqa hai jang rukne ka
jang KHud pe haram kar lije
maulwi aasman ki kahta hai
aap duniya ke kaam kar lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.