sare aalam ka yahi arman hona chahiye
saare aalam kā yahī armān honā chāhiye
tū nahīñ to ye jahāñ vīrān honā chāhiye
ishq meñ bas fā.ede achchhe nahīñ hote janāb
ishq meñ thoḌā bahut nuqsān honā chāhiye
jism ko āġhosh meñ lete ho par sochā kabhī
ruuh kā bhī kuchh sar-o-sāmān honā chāhiye
is daġhā-bāzī ko kab tak ishq meñ sahte raheñ
bevafā.ī kā bhī kuchh imkān honā chāhiye
ab ki ik mahbūb aisā DhūñDiye 'farhat' ki jo
ḳhūb-sūrat ho na ho nādān honā chāhiye
sare aalam ka yahi arman hona chahiye
tu nahin to ye jahan viran hona chahiye
ishq mein bas faede achchhe nahin hote janab
ishq mein thoDa bahut nuqsan hona chahiye
jism ko aaghosh mein lete ho par socha kabhi
ruh ka bhi kuchh sar-o-saman hona chahiye
is dagha-bazi ko kab tak ishq mein sahte rahen
bewafai ka bhi kuchh imkan hona chahiye
ab ki ek mahbub aisa DhunDiye 'farhat' ki jo
KHub-surat ho na ho nadan hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.