sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se
saare chaqmāq-badan aa.e thā tayyārī se
raushnī ḳhuub huī raat kī chingārī se
un daraḳhtoñ kī udāsī pe taras aatā hai
lakḌiyāñ rang na duuñ aag kī pichkārī se
koī dā'vā bhī nahīñ kartā masīhā.ī kā
ham bhī āzād hue jaate haiñ bīmārī se
muñh lagāyā hī nahīñ aslaha-sāzoñ ko kabhī
maiñ ne duniyā ko harāyā bhī to dildārī se
'ishq bhī log numā.ish ke liye karte haiñ
kyā namāzeñ bhī paḌhī jaatī haiñ 'ayyārī se
saarā bāzār chalā aayā hai ghar meñ phir bhī
baaz aate haiñ kahāñ log ḳharīdārī se
āḳhirī niiñd se pahle kahāñ samjheñge ham
ḳhvāb se Darnā zarūrī hai ki bedārī se
husn jis chhāñv meñ baiThā thā vo qātil to na thī
jal ga.e jism nigāhoñ kī shajar-kārī se
kam-se-kam maiñ to murīd un kā nahīñ ho saktā
jo pas-e-raqs-e-junūñ baiThe haiñ hushyārī se
sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se
raushni KHub hui raat ki chingari se
un daraKHton ki udasi pe taras aata hai
lakDiyan rang na dun aag ki pichkari se
koi da'wa bhi nahin karta masihai ka
hum bhi aazad hue jate hain bimari se
munh lagaya hi nahin aslaha-sazon ko kabhi
main ne duniya ko haraya bhi to dildari se
'ishq bhi log numaish ke liye karte hain
kya namazen bhi paDhi jati hain 'ayyari se
sara bazar chala aaya hai ghar mein phir bhi
baz aate hain kahan log KHaridari se
aaKHiri nind se pahle kahan samjhenge hum
KHwab se Darna zaruri hai ki bedari se
husn jis chhanw mein baiTha tha wo qatil to na thi
jal gae jism nigahon ki shajar-kari se
kam-se-kam main to murid un ka nahin ho sakta
jo pas-e-raqs-e-junun baiThe hain hushyari se
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 47)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.