sare dukh bhul gae sare sitam bhul gae
saare dukh bhuul ga.e saare sitam bhuul ga.e
tum ko dekhā to sabhī ranj-o-alam bhuul ga.e
un ko vo likh diyā jo ham ko nahīñ likhnā thā
ḳhat meñ jo kuchh hameñ karnā thā raqam bhuul ga.e
aap se ham ne na milne kī qasam khaa.ī thī
jaane kyā ho gayā ham apnī qasam bhuul ga.e
mil gayā naqsh-e-qadam terā jabīñ ko apnī
log kahte haiñ ki ham dair-o-haram bhuul ga.e
vo agar pūchh leñ kal kyoñ nahīñ milne aa.e
thoḌā iThlā.eñge kah deñge ki ham bhuul ga.e
bevafā ham nahīñ hālāt hamāre haiñ 'surūr'
umr bhar ham ne kiye un pe karam bhuul ga.e
sare dukh bhul gae sare sitam bhul gae
tum ko dekha to sabhi ranj-o-alam bhul gae
un ko wo likh diya jo hum ko nahin likhna tha
KHat mein jo kuchh hamein karna tha raqam bhul gae
aap se hum ne na milne ki qasam khai thi
jaane kya ho gaya hum apni qasam bhul gae
mil gaya naqsh-e-qadam tera jabin ko apni
log kahte hain ki hum dair-o-haram bhul gae
wo agar puchh len kal kyon nahin milne aae
thoDa iThlaenge kah denge ki hum bhul gae
bewafa hum nahin haalat hamare hain 'surur'
umr bhar hum ne kiye un pe karam bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.