sare dukh is dukh mein zam karte rahte hain
saare dukh is dukh meñ zam karte rahte haiñ
apne hone kā mātam karte rahte haiñ
aane vaalī rut kī pazīrā.ī ke badle
jaane vaalī rut kā ġham karte rahte haiñ
yakjā ho jaa.eñ to vahshat ghaT jaatī hai
so ḳhud ko darham-barham karte rahte haiñ
kaam baḌe hote haiñ ham ko tanhā.ī meñ
khaddar lafzoñ ko resham karte rahte haiñ
muhlik hote haiñ ye chhoTe-moTe ġham bhī
jīvan kī lau ko maddham karte rahte haiñ
palkeñ muuñd ke pahle dasht banāte haiñ ham
aur phir baiThe-baiThe ram karte rahte haiñ
sare dukh is dukh mein zam karte rahte hain
apne hone ka matam karte rahte hain
aane wali rut ki pazirai ke badle
jaane wali rut ka gham karte rahte hain
yakja ho jaen to wahshat ghaT jati hai
so KHud ko darham-barham karte rahte hain
kaam baDe hote hain hum ko tanhai mein
khaddar lafzon ko resham karte rahte hain
muhlik hote hain ye chhoTe-moTe gham bhi
jiwan ki lau ko maddham karte rahte hain
palken mund ke pahle dasht banate hain hum
aur phir baiThe-baiThe ram karte rahte hain
- Book : Ham Zameen Par Aasmaan Ke Phool Hain (Pg. 63)
- Author : Vikas Sharma Raaz
- Publication : Rekhta Publications (2025)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.