sare gulshan mein mera koi bhi dam-saz nahin
saare gulshan meñ mirā koī bhī dam-sāz nahīñ
chalte phirte haiñ ye saa.e magar āvāz nahīñ
ye haqīqat hai khulī is meñ koī raaz nahīñ
tū vahī hai magar aslāf ke andāz nahīñ
be-niyāz aaj bhī chashm-e-karam-andāz nahīñ
ġham na kar tū dar-e-mai-ḳhāna agar baaz nahīñ
saaz har daur meñ bante haiñ taqāzoñ ke tahat
sāz-e-hastī ho nayā phir bhī nayā saaz nahīñ
is haqīqat ko samajhte haiñ samajhne vaale
rāz-e-fitrat hai ye insān magar raaz nahīñ
hai vo is darja mukarram ki nahīñ jis kā hisāb
ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ hai but-e-tannāz nahīñ
sar-bulandī hameñ mil saktī hai lekin ai 'ġhubār'
aaj millat ke javānoñ meñ tag-o-tāz nahīñ
sare gulshan mein mera koi bhi dam-saz nahin
chalte phirte hain ye sae magar aawaz nahin
ye haqiqat hai khuli is mein koi raaz nahin
tu wahi hai magar aslaf ke andaz nahin
be-niyaz aaj bhi chashm-e-karam-andaz nahin
gham na kar tu dar-e-mai-KHana agar baz nahin
saz har daur mein bante hain taqazon ke tahat
saz-e-hasti ho naya phir bhi naya saz nahin
is haqiqat ko samajhte hain samajhne wale
raaz-e-fitrat hai ye insan magar raaz nahin
hai wo is darja mukarram ki nahin jis ka hisab
KHaliq-e-kaun-o-makan hai but-e-tannaz nahin
sar-bulandi hamein mil sakti hai lekin ai 'ghubar'
aaj millat ke jawanon mein tag-o-taz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.