sare jahan ka dard sameTe aur KHud se begane log
saare jahāñ kā dard sameTe aur ḳhud se begāne log
bastī-bastī sahrā-sahrā phirte haiñ dīvāne log
kaun sunegā apnī kahānī kis se dil kī baat kaheñ
yuuñ to is mahfil meñ sab haiñ jaane aur pahchāne log
kab tak apnā ḳhuun bahegā hosh-o-ḳhirad ke maqtal meñ
kab tak ham ko suulī deñge nagrī ke farzāne log
rāh-e-vafā meñ ham ne 'vafā' jab apnā sab kuchh vaar diyā
tab jā kar is dasht-e-junūñ meñ aa.e haiñ samjhāne log
sare jahan ka dard sameTe aur KHud se begane log
basti-basti sahra-sahra phirte hain diwane log
kaun sunega apni kahani kis se dil ki baat kahen
yun to is mahfil mein sab hain jaane aur pahchane log
kab tak apna KHun bahega hosh-o-KHirad ke maqtal mein
kab tak hum ko suli denge nagri ke farzane log
rah-e-wafa mein hum ne 'wafa' jab apna sab kuchh war diya
tab ja kar is dasht-e-junun mein aae hain samjhane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.