sare jahan ka ek gunahgar mujh mein hai
saare jahāñ kā ek gunahgār mujh meñ hai
manTo-zada sā ek qalamkār mujh meñ hai
maiñ us ko māntā bhī to kis tarh māntā
apnī bhī zaat se kahīñ inkār mujh meñ hai
koshish ke bāvajūd bhī ham ajnabī rahe
shāyad kahīñ chhupī huī dīvār mujh meñ hai
ik ḳhaas had se aage ta'alluq nahīñ baḌhā
pur-pech sā ik āla-e-me'yār mujh meñ hai
maiñ matlabī nahīñ huuñ par itnā zarūr hai
apne nashe meñ mast ye sarshār mujh meñ hai
sare jahan ka ek gunahgar mujh mein hai
manTo-zada sa ek qalamkar mujh mein hai
main us ko manta bhi to kis tarh manta
apni bhi zat se kahin inkar mujh mein hai
koshish ke bawajud bhi hum ajnabi rahe
shayad kahin chhupi hui diwar mujh mein hai
ek KHas had se aage ta'alluq nahin baDha
pur-pech sa ek aala-e-me'yar mujh mein hai
main matlabi nahin hun par itna zarur hai
apne nashe mein mast ye sarshaar mujh mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.