sare jahan ko apna taraf-dar kijiye
saare jahāñ ko apnā taraf-dār kījiye
lekin hameñ na raah kī dīvār kījiye
ḳhud kī nazar meñ ḳhud hī na gir jaa.eñ ham kahīñ
itnā na aap ham ko gunahgār kījiye
aa.egī is taraf bhī ḳharīdār kī nazar
ik shor zor se sar-e-bāzār kījiye
duujā nahīñ sharīk koī aur maiñ ne hī
ḳhud kā kiyā hai qatl giraftār kījiye
lagne lagūñ maiñ aap kī mahfil kā aap log
apnī tarah mujhe bhī adākār kījiye
sare jahan ko apna taraf-dar kijiye
lekin hamein na rah ki diwar kijiye
KHud ki nazar mein KHud hi na gir jaen hum kahin
itna na aap hum ko gunahgar kijiye
aaegi is taraf bhi KHaridar ki nazar
ek shor zor se sar-e-bazar kijiye
duja nahin sharik koi aur main ne hi
KHud ka kiya hai qatl giraftar kijiye
lagne lagun main aap ki mahfil ka aap log
apni tarah mujhe bhi adakar kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.