Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare KHush-fahm pa-e-wasl jie jate hain

Nomaan Shauque

sare KHush-fahm pa-e-wasl jie jate hain

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    saare ḳhush-fahm pa-e-vasl ji.e jaate haiñ

    aur mayassar hai hameñ vo to mare jaate haiñ

    us ke aañsū kahāñ rukte haiñ hathelī se mirī

    saare alfāz ḳhamoshī se bahe jaate jaate haiñ

    ho sake gar to daraḳhtoñ hifāzat karnā

    ham parindoñ ke liye chhāñv kiye jaate haiñ

    baat karte hue kyā sochne lagte ho tum

    ham bahut duur bahut duur chale jaate haiñ

    'ishq karte haiñ hameñ is se bhalā kyā matlab

    kis tarah she'r mohabbat meñ kahe jaate haiñ

    sare KHush-fahm pa-e-wasl jie jate hain

    aur mayassar hai hamein wo to mare jate hain

    us ke aansu kahan rukte hain hatheli se meri

    sare alfaz KHamoshi se bahe jate jate hain

    ho sake gar to daraKHton ki hifazat karna

    hum parindon ke liye chhanw kiye jate hain

    baat karte hue kya sochne lagte ho tum

    hum bahut dur bahut dur chale jate hain

    'ishq karte hain hamein is se bhala kya matlab

    kis tarah she'r mohabbat mein kahe jate hain

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 85)
    • Author : Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now